baDi hasin-o-tarab-za kitab paDhta hun
baḌī hasīn-o-tarab-zā kitāb paḌhtā huuñ
maiñ un kā qissa-e-auj-e-shabāb paḌhtā huuñ
kabhī kabhī to maiñ ik satr bhī nahīñ paḌhtā
kabhī kitāb ke bā'd-az-kitāb paḌhtā huuñ
ḳhat un kā haath meñ hai dil pe be-ḳhudī taarī
maiñ ḳhat kahāñ ḳhat-e-jām-e-sharāb paḌhtā huuñ
nazar se un kī milā kar nazar sar-e-mahfil
maiñ har savāl kā apne javāb paḌhtā huuñ
ridā-e-lāla-o-gul bhī kitāb kā hai varaq
maiñ is meñ qissa-e-husn-o-shabāb paḌhtā huuñ
kabhī to yuuñ bhī mirī zindagī lagī hai mujhe
ki jaise maiñ kisī majnūñ kā ḳhvāb paḌhtā huuñ
isī meñ mujh ko milā mere dard kā darmāñ
isī liye to maiñ ummul-kitāb paḌhtā huuñ
jo ḳhat bhī likhkhūñ to fauran javāb aatā hai
maiñ roz un kā javāb-ul-javāb paḌhtā huuñ
kise hai shauq 'jamālī' ġhazal sunāne kā
ba-hukm-e-sadr-e-fazīlat-ma.āb paḌhtā huuñ
baDi hasin-o-tarab-za kitab paDhta hun
main un ka qissa-e-auj-e-shabab paDhta hun
kabhi kabhi to main ek satr bhi nahin paDhta
kabhi kitab ke ba'd-az-kitab paDhta hun
KHat un ka hath mein hai dil pe be-KHudi tari
main KHat kahan KHat-e-jam-e-sharab paDhta hun
nazar se un ki mila kar nazar sar-e-mahfil
main har sawal ka apne jawab paDhta hun
rida-e-lala-o-gul bhi kitab ka hai waraq
main is mein qissa-e-husn-o-shabab paDhta hun
kabhi to yun bhi meri zindagi lagi hai mujhe
ki jaise main kisi majnun ka KHwab paDhta hun
isi mein mujh ko mila mere dard ka darman
isi liye to main ummul-kitab paDhta hun
jo KHat bhi likhkhun to fauran jawab aata hai
main roz un ka jawab-ul-jawab paDhta hun
kise hai shauq 'jamali' ghazal sunane ka
ba-hukm-e-sadr-e-fazilat-maab paDhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.