baDi muddat se tha andar magar kal hi nikala hai
baḌī muddat se thā andar magar kal hī nikālā hai
tumheñ khone kā thā dil meñ jo Dar kal hī nikālā hai
hameñ kyā ḳhaak thā mālūm aise dil dukhā.egā
purānā ḳhat jo ham ne khoj kar kal hī nikālā hai
ye tere ḳhvāb bhī kambaḳht rātoñ ko in āñkhoñ meñ
musalsal phir rahe the dar-ba-dar kal hī nikālā hai
ik arsa ho gayā tujh ko nikāle phir na jaane kyoñ
lagā aisā ki jaise beshtar kal hī nikālā hai
nikālā hai use 'hāmid' yuuñ pahle bhī nigāhoñ se
magar is dil se us ko is qadar kal hī nikālā hai
baDi muddat se tha andar magar kal hi nikala hai
tumhein khone ka tha dil mein jo Dar kal hi nikala hai
hamein kya KHak tha malum aise dil dukhaega
purana KHat jo hum ne khoj kar kal hi nikala hai
ye tere KHwab bhi kambaKHt raaton ko in aankhon mein
musalsal phir rahe the dar-ba-dar kal hi nikala hai
ek arsa ho gaya tujh ko nikale phir na jaane kyon
laga aisa ki jaise beshtar kal hi nikala hai
nikala hai use 'hamid' yun pahle bhi nigahon se
magar is dil se us ko is qadar kal hi nikala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.