baDi mushkil hain rahen sun mohabbat ki zamane mein
baḌī mushkil haiñ rāheñ sun mohabbat kī zamāne meñ
ki pal pal marnā paḌtā hai ise dil se nibhāne meñ
mohabbat se mile zaḳhmoñ ko maiñ gauhar samajhtā huuñ
izāfa hī izāfa hai mire dil ke ḳhazāne meñ
zarūrat ye nahīñ hai tum jise chāho tumheñ chāhe
koī tum shart mat rakhnā mohabbat āzmāne meñ
koī shiddat se chāhe to kabhī maġhrūr mat honā
dikhāve kī mohabbat kā chalan hai is zamāne meñ
zarūrat kī mohabbat meñ koī shiddat nahīñ hotī
chhalāvā hī chhalāvā hai use apnā banāne meñ
mohabbat gar nahīñ mujh se to ḳhvāboñ meñ bhī mat aao
mazā aatā hai kyā tum ko mirā dil yuuñ jalāne meñ
kabhī majnūñ se pūchho tum kabhī 'irshād' se pūchho
baḌā hī lutf aatā hai jigar par tiir khāne meñ
baDi mushkil hain rahen sun mohabbat ki zamane mein
ki pal pal marna paDta hai ise dil se nibhane mein
mohabbat se mile zaKHmon ko main gauhar samajhta hun
izafa hi izafa hai mere dil ke KHazane mein
zarurat ye nahin hai tum jise chaho tumhein chahe
koi tum shart mat rakhna mohabbat aazmane mein
koi shiddat se chahe to kabhi maghrur mat hona
dikhawe ki mohabbat ka chalan hai is zamane mein
zarurat ki mohabbat mein koi shiddat nahin hoti
chhalawa hi chhalawa hai use apna banane mein
mohabbat gar nahin mujh se to KHwabon mein bhi mat aao
maza aata hai kya tum ko mera dil yun jalane mein
kabhi majnun se puchho tum kabhi 'irshad' se puchho
baDa hi lutf aata hai jigar par tir khane mein
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 190)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.