baDi mushkil se ab shadab Dali ho gai hogi
baḌī mushkil se ab shādāb Daalī ho ga.ī hogī
ḳhizāñ ke sāmne lekin savālī ho ga.ī hogī
hamāre ḳhāna-e-dil meñ vo jugnū ban ke aa.egā
magar tab kuchh ziyāda raat kaalī ho ga.ī hogī
use aqvāl de kar par bhalā kaise yaqīñ aatā
ki mere baaġh kī har shāḳh ḳhālī ho ga.ī hogī
fazā-e-mai-kada badlegī merī baarī aate hī
subū TūTeñge aur botal bhī ḳhālī ho ga.ī hogī
lab-e-goyā pe qadġhan se vo kyūñkar ye samajhtā hai
ki mere haq meñ shīrīñ us kī gaalī ho ga.ī hogī
baDi mushkil se ab shadab Dali ho gai hogi
KHizan ke samne lekin sawali ho gai hogi
hamare KHana-e-dil mein wo jugnu ban ke aaega
magar tab kuchh ziyaada raat kali ho gai hogi
use aqwal de kar par bhala kaise yaqin aata
ki mere bagh ki har shaKH KHali ho gai hogi
faza-e-mai-kada badlegi meri bari aate hi
subu TuTenge aur botal bhi KHali ho gai hogi
lab-e-goya pe qadghan se wo kyunkar ye samajhta hai
ki mere haq mein shirin us ki gali ho gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.