baDi pur-fan nigah-e-sharmagin malum hoti hai
baḌī pur-fan nigāh-e-sharmagīñ ma.alūm hotī hai
ġhazab Dhātī hai lekin dil-nashīñ ma.alūm hotī hai
fareb-e-va.ada-e-fardā kā itnā sehr hai mujh par
kabhī vo haañ bhī kah deñ to nahīñ ma.alūm hotī hai
yaqīñ thā aarzū niklegī dil se un ke aane par
magar kambaḳht vo ab tak yahīñ ma.alūm hotī hai
ajab kyā hai falak bhī dushmanī par ab utar aa.e
nazar us shoḳh kī kuchh ḳhashmagīñ ma.alūm hotī hai
bahut tākīd kī thī chashm-e-tar ko zabt-e-girya kī
magar bhīgī huī phir āstīñ ma.alūm hotī hai
mohabbat rafta rafta jaan kī dushman na ho jaa.e
abhī tak to bahut kaif-āfrīñ ma.alūm hotī hai
nahīñ samjhā na samjhe koī rutba ḳhāksārī kā
hameñ to hāsil-e-duniyā-o-dīñ ma.alūm hotī hai
hue haiñ paañv zaḳhmī hoshiyār ab ai dil-e-nādāñ
mujhe ye kū-e-qātil kī zamīñ ma.alūm hotī hai
kahīñ se maañg laa.ī hai balā kī shoḳhiyāñ 'sāhir'
ghaTā sāvan kī bhī kitnī hasīñ ma.alūm hotī hai
baDi pur-fan nigah-e-sharmagin malum hoti hai
ghazab Dhati hai lekin dil-nashin malum hoti hai
fareb-e-wada-e-farda ka itna sehr hai mujh par
kabhi wo han bhi kah den to nahin malum hoti hai
yaqin tha aarzu niklegi dil se un ke aane par
magar kambaKHt wo ab tak yahin malum hoti hai
ajab kya hai falak bhi dushmani par ab utar aae
nazar us shoKH ki kuchh KHashmagin malum hoti hai
bahut takid ki thi chashm-e-tar ko zabt-e-girya ki
magar bhigi hui phir aastin malum hoti hai
mohabbat rafta rafta jaan ki dushman na ho jae
abhi tak to bahut kaif-afrin malum hoti hai
nahin samjha na samjhe koi rutba KHaksari ka
hamein to hasil-e-duniya-o-din malum hoti hai
hue hain panw zaKHmi hoshiyar ab ai dil-e-nadan
mujhe ye ku-e-qatil ki zamin malum hoti hai
kahin se mang lai hai bala ki shoKHiyan 'sahir'
ghaTa sawan ki bhi kitni hasin malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.