baDi umid se hum bhi usi qatar mein hain
baḌī umiid se ham bhī usī qatār meñ haiñ
tire to chāñd sitāre bhī pāsdār meñ haiñ
sikhā rahe haiñ salīqa hameñ sadāqat kā
jo muddatoñ se gunāhoñ ke rozgār meñ haiñ
tamām dost jo aa.e haiñ sab ko jaldī hai
chitā meñ aag lagāne ke intizār meñ haiñ
tumheñ gila hai ki sapne rahe adhūre sab
hamāre ḳhvāb to kab se hī regzār meñ haiñ
vo hai sukūn se jis ko nahīñ koī matlab
musībateñ to zamāne meñ sirf pyaar meñ haiñ
miTā ke mujh ko tasallī nahīñ habīboñ ko
na jaane kaisī tabāhī ke intizār meñ haiñ
Darā rahe the qayāmat se jo hameñ ab tak
sunā hai ab vo 'adāvat ke kārobār meñ haiñ
baDi umid se hum bhi usi qatar mein hain
tere to chand sitare bhi pasdar mein hain
sikha rahe hain saliqa hamein sadaqat ka
jo muddaton se gunahon ke rozgar mein hain
tamam dost jo aae hain sab ko jaldi hai
chita mein aag lagane ke intizar mein hain
tumhein gila hai ki sapne rahe adhure sab
hamare KHwab to kab se hi regzar mein hain
wo hai sukun se jis ko nahin koi matlab
musibaten to zamane mein sirf pyar mein hain
miTa ke mujh ko tasalli nahin habibon ko
na jaane kaisi tabahi ke intizar mein hain
Dara rahe the qayamat se jo hamein ab tak
suna hai ab wo 'adawat ke karobar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.