badla hua duniya ka chalan dekh raha hun
badlā huā duniyā kā chalan dekh rahā huuñ
tahzīb ke māthe pe shikan dekh rahā huuñ
tū ne jo girā liiñ ruḳh-e-pur-nūr pe zulfeñ
sūraj ke bhī chehre pe gahan dekh rahā huuñ
vo mujh se vafāoñ kī sanad maañg rahe haiñ
maiñ jin ko yahāñ ahd-shikan dekh rahā huuñ
phūloñ meñ na pahlī sī vo ḳhushbū hai na vo rang
bhauñroñ ko giraftār-e-mehan dekh rahā huuñ
jis ahd meñ fankār kī izzat nahīñ baaqī
maiñ aaj vahī daur-e-fitan dekh rahā huuñ
sahrā ho ki gulzār girā detā hai bijlī
kyā taur tire charḳh-e-kuhan dekh rahā huuñ
ab rind bhī aise meñ badal jaa.eñ to behtar
badlā huā saaqī kā chalan dekh rahā huuñ
atvār zamāne ke ajab ho ga.e 'gauhar'
ismat kī kalā.ī meñ rasan dekh rahā huuñ
badla hua duniya ka chalan dekh raha hun
tahzib ke mathe pe shikan dekh raha hun
tu ne jo gira lin ruKH-e-pur-nur pe zulfen
suraj ke bhi chehre pe gahan dekh raha hun
wo mujh se wafaon ki sanad mang rahe hain
main jin ko yahan ahd-shikan dekh raha hun
phulon mein na pahli si wo KHushbu hai na wo rang
bhaunron ko giraftar-e-mehan dekh raha hun
jis ahd mein fankar ki izzat nahin baqi
main aaj wahi daur-e-fitan dekh raha hun
sahra ho ki gulzar gira deta hai bijli
kya taur tere charKH-e-kuhan dekh raha hun
ab rind bhi aise mein badal jaen to behtar
badla hua saqi ka chalan dekh raha hun
atwar zamane ke ajab ho gae 'gauhar'
ismat ki kalai mein rasan dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.