badla mizaj maine jo apna hawa ke sath
badlā mizāj maiñ ne jo apnā havā ke saath
dariyā thā mere saath kinārā havā ke saath
phir yuuñ huā ki ḳhvāb-sarā meñ havā chalī
phir yuuñ huā ki uḌ gayā sapnā havā ke saath
maiñ bujh gayā huuñ aap kī sirf ek phūñk se
sadiyoñ laḌā huuñ varna maiñ tanhā havā ke saath
duniyā se iḳhtilāf hai is baat par mujhe
jis samt kī havā chale duniyā havā ke saath
tere badan ko chhū ke guzartī hai kis liye
bas is pe iḳhtilāf hai merā havā ke saath
manzil ḳhulūs kī na mujhe aaj tak milī
is rāste pe kaash na chaltā havā ke saath
'iqrār' kyā kahūñ ki vo ḳhushbū sā ek shaḳhs
chāroñ taraf vo aur bhī mahkā havā ke saath
badla mizaj main ne jo apna hawa ke sath
dariya tha mere sath kinara hawa ke sath
phir yun hua ki KHwab-sara mein hawa chali
phir yun hua ki uD gaya sapna hawa ke sath
main bujh gaya hun aap ki sirf ek phunk se
sadiyon laDa hun warna main tanha hawa ke sath
duniya se iKHtilaf hai is baat par mujhe
jis samt ki hawa chale duniya hawa ke sath
tere badan ko chhu ke guzarti hai kis liye
bas is pe iKHtilaf hai mera hawa ke sath
manzil KHulus ki na mujhe aaj tak mili
is raste pe kash na chalta hawa ke sath
'iqrar' kya kahun ki wo KHushbu sa ek shaKHs
chaaron taraf wo aur bhi mahka hawa ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.