badle talluqat fasana badal gaya
badle ta.alluqāt fasāna badal gayā
tum kyā chale ga.e ki zamāna badal gayā
hālāt ke shu.ūr se barham hai aadmī
sargam meñ dam nahīñ hai tarāna badal gayā
ehsās aur aql kī majbūriyāñ na pūchh
sūrat badal ga.ī to bahāna badal gayā
vo mashġhala huuñ maiñ jise jiinā kahā kareñ
maiñ huuñ vo silsila jo Thikānā badal gayā
maiñ ek rāh-rau jise manzil nahīñ qubūl
maiñ ek valvala jo zamāna badal gayā
ma.anī bidak ke rah ga.e sadiyoñ kī bhiiḌ meñ
lafzoñ kī āñdhiy.oñ kā zamāna badal gayā
aisī havā chalī hai ki bhaḌke hai aarzū
aisī ghaTā uThī ki fasāna badal gayā
badle talluqat fasana badal gaya
tum kya chale gae ki zamana badal gaya
haalat ke shuur se barham hai aadmi
sargam mein dam nahin hai tarana badal gaya
ehsas aur aql ki majburiyan na puchh
surat badal gai to bahana badal gaya
wo mashghala hun main jise jina kaha karen
main hun wo silsila jo Thikana badal gaya
main ek rah-rau jise manzil nahin qubul
main ek walwala jo zamana badal gaya
mani bidak ke rah gae sadiyon ki bhiD mein
lafzon ki aandhiyon ka zamana badal gaya
aisi hawa chali hai ki bhaDke hai aarzu
aisi ghaTa uThi ki fasana badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.