badli aisi zulf ki laT mein shamil kar ke uljhan koi
badlī aisī zulf kī laT meñ shāmil kar ke uljhan koī
merī ḳhātir baal sukhāne naap rahā hai āñgan koī
terah chaudah kī umroñ meñ lāzim hai mohtāt raheñ ham
kyā aisī phaltī umroñ ko kah saktā hai bachpan koī
mustaqbil meñ rafta-rafta ghul-mil kar afsāne hoñge
ab tak chalte-phirte jumle vo bhī rasman zimnan koī
us kī zulf kā lahrā lenā duur se kuchh aisā lagtā hai
chandan se gore shāne par jaise kaalī nāgan koī
faizān-e-sāqī se andar aate hī tārīfeñ ruḳhsat
maiḳhāne se bāhar aa kar koī shaiḳh barahman koī
ḳhalvat meñ bhī partav us kā us kā haala ban jaatā hai
be-parda mil aane vaalo biich meñ hogī chilman koī
sheroñ meñ iz.hār-e-haqīqat se iġhmāz kahāñ mumkin hai
'shād' mire tanzoñ se baḌh kar kab hai merā dushman koī
badli aisi zulf ki laT mein shamil kar ke uljhan koi
meri KHatir baal sukhane nap raha hai aangan koi
terah chaudah ki umron mein lazim hai mohtat rahen hum
kya aisi phalti umron ko kah sakta hai bachpan koi
mustaqbil mein rafta-rafta ghul-mil kar afsane honge
ab tak chalte-phirte jumle wo bhi rasman zimnan koi
us ki zulf ka lahra lena dur se kuchh aisa lagta hai
chandan se gore shane par jaise kali nagan koi
faizan-e-saqi se andar aate hi tarifen ruKHsat
maiKHane se bahar aa kar koi shaiKH barahman koi
KHalwat mein bhi partaw us ka us ka haala ban jata hai
be-parda mil aane walo bich mein hogi chilman koi
sheron mein izhaar-e-haqiqat se ighmaz kahan mumkin hai
'shad' mere tanzon se baDh kar kab hai mera dushman koi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 261)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.