badli badli ye zamane ki faza lagti hai
badlī badlī ye zamāne kī fazā lagtī hai
zindagī ab to hameñ jaise sazā lagtī hai
vo bhalā 'ishq kā iz.hār karegā kaise
jis ko ḳhud apnī adāoñ se hayā lagtī hai
jis kī nazroñ ne lagā.ī hai ye ātish dil meñ
yaad bhī us kī hameñ bād-e-sabā lagtī hai
raas aatī hai faqat ābla-pā.ī us ko
jis ko sahrā-e-mohabbat kī havā lagtī hai
sāmnā hotā hai jis lamha masā.il se kabhī
zindagī ham ko buzurgoñ kī du'ā lagtī hai
jaise bārūd pe baiThā hai zamāna saarā
maut meñ Duubī huī saarī fazā lagtī hai
uTh ga.ī jab se ye dīvār 'kashish' āñgan meñ
ghar kī tasvīr hameñ ghar se judā lagtī hai
badli badli ye zamane ki faza lagti hai
zindagi ab to hamein jaise saza lagti hai
wo bhala 'ishq ka izhaar karega kaise
jis ko KHud apni adaon se haya lagti hai
jis ki nazron ne lagai hai ye aatish dil mein
yaad bhi us ki hamein baad-e-saba lagti hai
ras aati hai faqat aabla-pai us ko
jis ko sahra-e-mohabbat ki hawa lagti hai
samna hota hai jis lamha masail se kabhi
zindagi hum ko buzurgon ki du'a lagti hai
jaise barud pe baiTha hai zamana sara
maut mein Dubi hui sari faza lagti hai
uTh gai jab se ye diwar 'kashish' aangan mein
ghar ki taswir hamein ghar se juda lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.