badnam ka jahan mein sahaara nahin koi
badnām kā jahāñ meñ sahārā nahīñ koī
patthar har ek haath meñ iisā nahīñ koī
kuchh der merī khaaT pe baiTho mire aziiz
is khaaT meñ chhupā huā kāñTā nahīñ koī
kamzoriyoñ kā merī jahāñ bhar meñ shor hai
merī ḳhusūsiyāt kā charchā nahīñ koī
ḳhairāt chaar TukḌoñ kī nikle the bāñTne
aisā lagā zamīn pe bhūkā nahīñ koī
ham bhī ma.āshre ko chale the sañvārne
dushman hazār ho ga.e sudhrā nahīñ koī
gamloñ meñ qaid ho gayā 'jāved' phuul kyoñ
ghar kī hadoñ ke paar to mahkā nahīñ koī
badnam ka jahan mein sahaara nahin koi
patthar har ek hath mein isa nahin koi
kuchh der meri khaT pe baiTho mere aziz
is khaT mein chhupa hua kanTa nahin koi
kamzoriyon ka meri jahan bhar mein shor hai
meri KHususiyat ka charcha nahin koi
KHairaat chaar TukDon ki nikle the banTne
aisa laga zamin pe bhuka nahin koi
hum bhi maashre ko chale the sanwarne
dushman hazar ho gae sudhra nahin koi
gamlon mein qaid ho gaya 'jawed' phul kyon
ghar ki hadon ke par to mahka nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.