badnami-e-ulfat ko ye aar na samjhega
badnami-e-ulfat ko ye aar na samjhega
Hassamuddin Haider Nami
MORE BYHassamuddin Haider Nami
badnāmī-e-ulfat ko ye aar na samjhegā
is dil ko na samjhāo zinhār na samjhegā
bīmār huā huuñ maiñ ik ishva-e-pinhāñ se
iisā bhī mire dil ko āzār na samjhegā
hirs us lab-e-shīrīñ kī kyā dil se mire kam ho
parhez kabhū achchhā bīmār na samjhegā
ġhaflat ko javānī kī kuchh pūchho na ai zāhid
be-hoshī kī lazzat ko hushiyār na samjhegā
go rāh-e-mohabbat meñ jaatī haiñ chalī jāneñ
mard-e-rah-e-ishq is ko dushvār na samjhegā
mujh se hai use milnā ik nang kā baa.is hai
aġhyār ke milne ko vo aar na samjhegā
samjhāne do nāseh ko mat manā karo yaaro
jab tak na sunegā vo do-chār na samjhegā
hāl-e-dil-e-ḳhūñ-gashta 'nāmī' ne lahū ro ro
naame meñ kiyā inshā par yaar na samjhegā
badnami-e-ulfat ko ye aar na samjhega
is dil ko na samjhao zinhaar na samjhega
bimar hua hun main ek ishwa-e-pinhan se
isa bhi mere dil ko aazar na samjhega
hirs us lab-e-shirin ki kya dil se mere kam ho
parhez kabhu achchha bimar na samjhega
ghaflat ko jawani ki kuchh puchho na ai zahid
be-hoshi ki lazzat ko hushiyar na samjhega
go rah-e-mohabbat mein jati hain chali jaanen
mard-e-rah-e-ishq is ko dushwar na samjhega
mujh se hai use milna ek nang ka bais hai
aghyar ke milne ko wo aar na samjhega
samjhane do naseh ko mat mana karo yaro
jab tak na sunega wo do-chaar na samjhega
haal-e-dil-e-KHun-gashta 'nami' ne lahu ro ro
name mein kiya insha par yar na samjhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.