badr yun to sabhi se milta hai
'badr' yuuñ to sabhī se miltā hai
be-ġharaz kab kisī se miltā hai
ḳhud ko gum kar ke DhūñDiye us ko
ye guhar be-ḳhudī se miltā hai
vo koī ho kahīñ bhī ho lekin
hū-ba-hū aap hī se miltā hai
jaan bhī saath chhoḌ detī hai
ye sabaq zindagī se miltā hai
chhāñv meñ zulf ke dhanak ke rañg
saaya yuuñ raushnī se miltā hai
āstāñ khiñch ke ḳhud chalā aa.e
ye sharaf bandagī se miltā hai
'badr' yun to sabhi se milta hai
be-gharaz kab kisi se milta hai
KHud ko gum kar ke DhunDiye us ko
ye guhar be-KHudi se milta hai
wo koi ho kahin bhi ho lekin
hu-ba-hu aap hi se milta hai
jaan bhi sath chhoD deti hai
ye sabaq zindagi se milta hai
chhanw mein zulf ke dhanak ke rang
saya yun raushni se milta hai
aastan khinch ke KHud chala aae
ye sharaf bandagi se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.