badr zahir ruKH se hai aasar-e-marg
'badr' zāhir ruḳh se hai āsār-e-marg
ishq kā āzār hai āzār-e-marg
band ho kar dīda-e-ibrat khule
samjhe ba.ad-e-marg ham asrār-e-marg
dahriye munkir ḳhudā ke hoñ to hoñ
kar nahīñ sakte magar inkār-e-marg
kyā bache umr-e-gurezāñ bhaag kar
tez-tar hai barq se raftār-e-marg
naza.a meñ huuñ jald kar do ḳhātma
lo nigāh-e-nāz se tum kār-e-marg
hijr kī dushvāriyāñ sahl us ne kī
marg merī yaar hai maiñ yār-e-marg
marne vaale parda-poshī karne haiñ
chhupte haiñ lekin kahīñ āsār-e-marg
sab barābar haiñ javān-o-tifl-o-pīr
lā-ubālī hai magar sarkār-e-marg
rāhzan kā naqd-e-jāñ ko Dar nahīñ
hai ajab hisn-e-hasīñ dīvār-e-marg
ḳhushk lab pathrā.īñ āñkheñ rang zard
'badr' chhupte haiñ kahīñ āsār-e-marg
'badr' zahir ruKH se hai aasar-e-marg
ishq ka aazar hai aazar-e-marg
band ho kar dida-e-ibrat khule
samjhe baad-e-marg hum asrar-e-marg
dahriye munkir KHuda ke hon to hon
kar nahin sakte magar inkar-e-marg
kya bache umr-e-gurezan bhag kar
tez-tar hai barq se raftar-e-marg
naza mein hun jald kar do KHatma
lo nigah-e-naz se tum kar-e-marg
hijr ki dushwariyan sahl us ne ki
marg meri yar hai main yar-e-marg
marne wale parda-poshi karne hain
chhupte hain lekin kahin aasar-e-marg
sab barabar hain jawan-o-tifl-o-pir
la-ubaali hai magar sarkar-e-marg
rahzan ka naqd-e-jaan ko Dar nahin
hai ajab hisn-e-hasin diwar-e-marg
KHushk lab pathrain aankhen rang zard
'badr' chhupte hain kahin aasar-e-marg
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.