Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baghawat karna chahun to kabhi inkar mat karna

Manik Vishwakarma Navrang

baghawat karna chahun to kabhi inkar mat karna

Manik Vishwakarma Navrang

MORE BYManik Vishwakarma Navrang

    baġhāvat karnā chāhūñ to kabhī inkār mat karnā

    sharārat karnā chāhūñ to kabhī inkār mat karnā

    tumhīñ se be-sabab har roz mahfil meñ tumhārī

    shikāyat karnā chāhūñ to kabhī inkār mat karnā

    zamāne meñ bahut se log dikhlāte haiñ 'ilm-o-fan

    himāqat karnā chāhūñ to kabhī inkār mat karnā

    tumhāre uḌte āñchal gulistāñ meñ havāoñ se

    hifāzat karnā chāhūñ to kabhī inkār mat karnā

    tumhārā but banā kar sāmne but-ḳhāne ke 'naurang'

    'ibādat karnā chāhūñ to kabhī inkār mat karnā

    baghawat karna chahun to kabhi inkar mat karna

    shararat karna chahun to kabhi inkar mat karna

    tumhin se be-sabab har roz mahfil mein tumhaari hi

    shikayat karna chahun to kabhi inkar mat karna

    zamane mein bahut se log dikhlate hain 'ilm-o-fan

    himaqat karna chahun to kabhi inkar mat karna

    tumhaare uDte aanchal ki gulistan mein hawaon se

    hifazat karna chahun to kabhi inkar mat karna

    tumhaara but bana kar samne but-KHane ke 'naurang'

    'ibaadat karna chahun to kabhi inkar mat karna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now