baghair bole mera muddaa samajhta hai
baġhair bole mirā mudda'ā samajhtā hai
purānā dost hai so mas.ala samajhtā hai
adhūrā chhoḌ ke kuchh din ko bhuul jaatā hai
kahāñ se joḌnā hai silsila samajhtā hai
to phir vo kaise farāmosh apnā 'aks kare
tumhārī āñkhoñ ko jo aa.ina samajhtā hai
havā kā shor ho yā bārishoñ kī aahaT ho
kivāḌ khaTke ko āvāz-e-pā samajhtā hai
charāġh jis ko mayassar nahīñ huā vo shaḳhs
bahut añdherā ho to rāsta samajhtā hai
kabhī-kabhār mulāqāt karne vaale batā
tū kis hisāb se ḳhud ko mirā samajhtā hai
uThā ke rakhtā hai ḳhud hī vo apnī chīzoñ ko
phir apne aap unheñ gum-shuda samajhtā hai
qadam baḌhā nahīñ saktā jo aage sidra se
hudūd jāntā hai muntahā samajhtā hai
baghair bole mera mudda'a samajhta hai
purana dost hai so masala samajhta hai
adhura chhoD ke kuchh din ko bhul jata hai
kahan se joDna hai silsila samajhta hai
to phir wo kaise faramosh apna 'aks kare
tumhaari aankhon ko jo aaina samajhta hai
hawa ka shor ho ya barishon ki aahaT ho
kiwaD khaTke ko aawaz-e-pa samajhta hai
charagh jis ko mayassar nahin hua wo shaKHs
bahut andhera ho to rasta samajhta hai
kabhi-kabhaar mulaqat karne wale bata
tu kis hisab se KHud ko mera samajhta hai
uTha ke rakhta hai KHud hi wo apni chizon ko
phir apne aap unhen gum-shuda samajhta hai
qadam baDha nahin sakta jo aage sidra se
hudud jaanta hai muntaha samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.