baghair KHubi-o-KHidmat bashar achchhe nahin lagte
baghair KHubi-o-KHidmat bashar achchhe nahin lagte
Sultan Shakir Hashmi
MORE BYSultan Shakir Hashmi
baġhair ḳhūbī-o-ḳhidmat bashar achchhe nahīñ lagte
na jin meñ phuul phal hoñ vo shajar achchhe nahīñ lagte
safar kā lutf ghar ke bām-o-dar achchhe nahīñ lagte
vo jis din se ga.e shām-o-sahar achchhe nahīñ lagte
vafā ke rāste meñ to sitam sahnā hī paḌte haiñ
tire shikve dil-e-dīvāna gar achchhe nahīñ lagte
diloñ meñ pyaar chehre par shagufta-pan na ho jin ke
mujhe vo sāhibān-e-rahguzar achchhe nahīñ lagte
ḳhudā rakkhe mohabbat ne nayā jaadū jagāyā hai
unheñ ab merī āñkhoñ meñ guhar achchhe nahīñ lagte
vo jin ko sun ke ik muddat se Tas se mas nahīñ hote
mujhe vo nāla-hā-e-be-asar achchhe nahīñ lagte
rah-e-ġham par akelā chhoḌ kar vo jab se bichhḌe haiñ
mujhe us din se ḳhurshīd-o-qamar achchhe nahīñ lagte
jinheñ duniyā se apnā haal tak kahnā nahīñ aatā
haqīqat meñ vo achchhe hoñ magar achchhe nahīñ lagte
ḳhudā jaane mirī qismat kahāñ se DhūñDh laa.ī hai
kuchh aise ham-safar jo ham-safar achchhe nahīñ lagte
mujhe 'shākir' yaqīñ hotā nahīñ ab un ke va.adoñ kā
ab in farzī jahāzoñ ke safar achchhe nahīñ lagte
baghair KHubi-o-KHidmat bashar achchhe nahin lagte
na jin mein phul phal hon wo shajar achchhe nahin lagte
safar ka lutf ghar ke baam-o-dar achchhe nahin lagte
wo jis din se gae sham-o-sahar achchhe nahin lagte
wafa ke raste mein to sitam sahna hi paDte hain
tere shikwe dil-e-diwana gar achchhe nahin lagte
dilon mein pyar chehre par shagufta-pan na ho jin ke
mujhe wo sahiban-e-rahguzar achchhe nahin lagte
KHuda rakkhe mohabbat ne naya jadu jagaya hai
unhen ab meri aankhon mein guhar achchhe nahin lagte
wo jin ko sun ke ek muddat se Tas se mas nahin hote
mujhe wo nala-ha-e-be-asar achchhe nahin lagte
rah-e-gham par akela chhoD kar wo jab se bichhDe hain
mujhe us din se KHurshid-o-qamar achchhe nahin lagte
jinhen duniya se apna haal tak kahna nahin aata
haqiqat mein wo achchhe hon magar achchhe nahin lagte
KHuda jaane meri qismat kahan se DhunDh lai hai
kuchh aise ham-safar jo ham-safar achchhe nahin lagte
mujhe 'shakir' yaqin hota nahin ab un ke wadon ka
ab in farzi jahazon ke safar achchhe nahin lagte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.