baghair matlab ke mehrbani nahin chalegi
baġhair matlab ke mehrbānī nahīñ chalegī
ġharīb logoñ meñ bad-gumānī nahīñ chalegī
yahāñ pe koī vafā kī bāteñ nahīñ karegā
hamārī mahfil meñ bad-zabānī nahīñ chalegī
ab apne lahje meñ sher kahne paḌeñge sab ko
parā.e lahjoñ kī tarjumānī nahīñ chalegī
zarā adab se buzurg logoñ se baat kiije
ziyāda din tak ye naujavānī nahīñ chalegī
udaas logoñ ko kaun hañsnā sikhā rahā hai
ḳhizāñ ke mausam meñ bāġhbānī nahīñ chalegī
agar salīqa pata ho tum ko to ishq karnā
baġhair mausam ke shervānī nahīñ chalegī
yahāñ kī chhoḌo 'obaid-ahmad’ vahāñ kī socho
ba-roz-e-mahshar koī kahānī nahīñ chalegī
baghair matlab ke mehrbani nahin chalegi
gharib logon mein bad-gumani nahin chalegi
yahan pe koi wafa ki baaten nahin karega
hamari mahfil mein bad-zabani nahin chalegi
ab apne lahje mein sher kahne paDenge sab ko
parae lahjon ki tarjumani nahin chalegi
zara adab se buzurg logon se baat kije
ziyaada din tak ye naujawani nahin chalegi
udas logon ko kaun hansna sikha raha hai
KHizan ke mausam mein baghbani nahin chalegi
agar saliqa pata ho tum ko to ishq karna
baghair mausam ke sherwani nahin chalegi
yahan ki chhoDo 'obaid-ahmad’ wahan ki socho
ba-roz-e-mahshar koi kahani nahin chalegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.