baghair naqd-e-wafa zindagi ki qimat kya
baġhair naqd-e-vafā zindagī kī qīmat kyā
agar ḳhulūs nahīñ hai to phir mohabbat kyā
zabāñ pe pyaar kī bāteñ haiñ dil meñ kuchh bhī nahīñ
agar yahī hai mohabbat to phir mohabbat kyā
bas ik nigāh-e-navāzish hī terī kaafī hai
kuchh aur māñgne kī ab hameñ zarūrat kyā
ḳhulūs hogā to phir baat asar karegī zarūr
jo zindagī na badal de to phir nasīhat kyā
ye sab karam hī karam hai karam ke jalve haiñ
jo tū na chāhe to ham kyā hamārī shohrat kyā
kuchh aap apnī kaheñ aur kuchh hamārī suneñ
janāb itne takalluf kī ab zarūrat kyā
milā hai zar to ġharīboñ ke kaam bhī aao
na jis se ḳhidmat-e-maḳhlūq ho vo daulat kyā
ham apne daur kī haiñ jins-e-be-bahā logo
lagā sakegā zamāna hamārī qīmat kyā
koī nahīñ kisī girte ko thāmne vaalā
isī kā naam hai is daur meñ uḳhuvvat kyā
jo ek lamhe meñ duniyā hī chhoḌ de 'shākir'
us aadmī kī jo sach pūchhiye to qīmat kyā
baghair naqd-e-wafa zindagi ki qimat kya
agar KHulus nahin hai to phir mohabbat kya
zaban pe pyar ki baaten hain dil mein kuchh bhi nahin
agar yahi hai mohabbat to phir mohabbat kya
bas ek nigah-e-nawazish hi teri kafi hai
kuchh aur mangne ki ab hamein zarurat kya
KHulus hoga to phir baat asar karegi zarur
jo zindagi na badal de to phir nasihat kya
ye sab karam hi karam hai karam ke jalwe hain
jo tu na chahe to hum kya hamari shohrat kya
kuchh aap apni kahen aur kuchh hamari sunen
janab itne takalluf ki ab zarurat kya
mila hai zar to gharibon ke kaam bhi aao
na jis se KHidmat-e-maKHluq ho wo daulat kya
hum apne daur ki hain jins-e-be-baha logo
laga sakega zamana hamari qimat kya
koi nahin kisi girte ko thamne wala
isi ka nam hai is daur mein uKHuwwat kya
jo ek lamhe mein duniya hi chhoD de 'shakir'
us aadmi ki jo sach puchhiye to qimat kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.