baghair soche hue arz haal karte rahe
baġhair soche hue arz haal karte rahe
javāb kuchh na milā ham savāl karte rahe
kabhī to Duube nadī meñ magar kabhī ham ne
samundaroñ ko uchhālā kamāl karte rahe
isī se naam milā hai isī se 'izzat bhī
jo kaam sahl bahut the muhāl karte rahe
khaḌe rahe yuuñ hī āñkhoñ meñ ashk jaarī kiye
har ek lamha-e-shab lā-zavāl karte rahe
kabhī kisī kī mohabbat kā dam bhī bhar aa.e
ye ek kaam bhī ham ḳhāl-ḳhāl karte rahe
to un ko ham se thā bas ek ye ta'alluq ḳhaas
mirī qabā se lahū apnā laal karte rahe
baghair soche hue arz haal karte rahe
jawab kuchh na mila hum sawal karte rahe
kabhi to Dube nadi mein magar kabhi hum ne
samundaron ko uchhaala kamal karte rahe
isi se nam mila hai isi se 'izzat bhi
jo kaam sahl bahut the muhaal karte rahe
khaDe rahe yun hi aankhon mein ashk jari kiye
har ek lamha-e-shab la-zawal karte rahe
kabhi kisi ki mohabbat ka dam bhi bhar aae
ye ek kaam bhi hum KHal-KHal karte rahe
to un ko hum se tha bas ek ye ta'alluq KHas
meri qaba se lahu apna lal karte rahe
- Book : سخن دریا (Pg. 93)
- Author : عبید الرحمن
- Publication : عرشیہ پبلی کیشن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.