baghair zewaron ke bhi hasin hai yaqin hai
baġhair zevaroñ ke bhī hasīn hai yaqīn hai
vafā jo oḌh le vo nāznīn hai yaqīn hai
parindagī meñ is tarah se chhū rahā huuñ āsmāñ
ki āsmāñ bhī ab mirī zamīn hai yaqīn hai
isī liye vo pūchhtī hai pyaar par yaqīñ hai kyā
maiñ nā-murād bol duuñ yaqīn hai yaqīn hai
agar tumhāre naqsh-e-pā mileñ vafā kī raah par
tavīl rāsta bhī ḳhush-tarīn hai yaqīn hai
use ye lag rahā hai phir sharāb pī ga.ī mujhe
vo do dikhā ke pūchhtā hai tiin hai yaqīn hai
tirī sadā kī dhun pe jhūmtā rahūñgā 'umr bhar
maiñ naag huuñ tirā kalām biin hai yaqīn hai
go mujh ko maulvī batā rahā thā ye harām hai
magar tū kah rahā hai is meñ diin hai yaqīn hai
baghair zewaron ke bhi hasin hai yaqin hai
wafa jo oDh le wo naznin hai yaqin hai
parindagi mein is tarah se chhu raha hun aasman
ki aasman bhi ab meri zamin hai yaqin hai
isi liye wo puchhti hai pyar par yaqin hai kya
main na-murad bol dun yaqin hai yaqin hai
agar tumhaare naqsh-e-pa milen wafa ki rah par
tawil rasta bhi KHush-tarin hai yaqin hai
use ye lag raha hai phir sharab pi gai mujhe
wo do dikha ke puchhta hai tin hai yaqin hai
teri sada ki dhun pe jhumta rahunga 'umr bhar
main nag hun tera kalam bin hai yaqin hai
go mujh ko maulwi bata raha tha ye haram hai
magar tu kah raha hai is mein din hai yaqin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.