bagulon ka bulawa aa chuka hai dekhte kya ho
bagūloñ kā bulāvā aa chukā hai dekhte kyā ho
chalo qadmoñ meñ ab to rāsta hai dekhte kyā ho
samundar se lipaT kar dil kā har armāñ nikāl aao
talātum ab tumhārā nāḳhudā hai dekhte kyā ho
abhī bhī vaqt hai ai dosto is ko badal Daalo
bahut zahrīlī ye āb-o-havā hai dekhte kyā ho
falak to sirf āñkhoñ ko thakāne kā bahāna hai
nikal lo haath bhar kā fāsla hai dekhte kyā ho
uTho aur is meñ mil jaao ki saarā kārvāñ 'ābid'
tumhāre vāste Thahrā huā hai dekhte kyā ho
bagulon ka bulawa aa chuka hai dekhte kya ho
chalo qadmon mein ab to rasta hai dekhte kya ho
samundar se lipaT kar dil ka har arman nikal aao
talatum ab tumhaara naKHuda hai dekhte kya ho
abhi bhi waqt hai ai dosto is ko badal Dalo
bahut zahrili ye aab-o-hawa hai dekhte kya ho
falak to sirf aankhon ko thakane ka bahana hai
nikal lo hath bhar ka fasla hai dekhte kya ho
uTho aur is mein mil jao ki sara karwan 'abid'
tumhaare waste Thahra hua hai dekhte kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.