bah gaya us ka bhi lahu shayad
bah gayā us kā bhī lahū shāyad
thak gayā hai mirā 'adū shāyad
ruuTh kar aaj apne dilbar se
lauT aayā vo apne kū shāyad
chāhtā thā tujhe tabāh karūñ
ho gayā dil-pazīr tū shāyad
rab ne shab meñ falak ke kapḌoñ par
tāroñ se kar diyā rafū shāyad
mere dil ko mirī zehānat se
karnī hai koī aarzū shāyad
mujh ko ġhamgīn kartī jaatī hai
aaj ḳhalvat kī justujū shāyad
bah gaya us ka bhi lahu shayad
thak gaya hai mera 'adu shayad
ruTh kar aaj apne dilbar se
lauT aaya wo apne ku shayad
chahta tha tujhe tabah karun
ho gaya dil-pazir tu shayad
rab ne shab mein falak ke kapDon par
taron se kar diya rafu shayad
mere dil ko meri zehanat se
karni hai koi aarzu shayad
mujh ko ghamgin karti jati hai
aaj KHalwat ki justuju shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.