Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bah rahi hai phir wahi purwa suhani raat mein

Updesh Vidyarthi

bah rahi hai phir wahi purwa suhani raat mein

Updesh Vidyarthi

MORE BYUpdesh Vidyarthi

    bah rahī hai phir vahī purvā suhānī raat meñ

    chal paḌī hai svapn phir rājdhānī raat meñ

    lauT aaya hai mirā bachpan dubāra phir vahī

    phir suna.eñgī mujhe daadī kahānī raat meñ

    phir luTegā dil kisī dekhnā ākāsh meñ

    baḌh rahī hai chāñd phir nit javānī raat meñ

    phir sitāroñ koī bārāt niklegī yahāñ

    phir utar ā.eñgī pariyāñ āsmānī raat meñ

    phir chamakne lag ga.e jugnū mire atrāf meñ

    phir se milne aa ga.ī pāgal dīvānī raat meñ

    phir kamal khilne lage haiñ gaañv ke tālāb meñ

    phir mahakne lag ga.ī hai rāt-rānī raat meñ

    chhoTī-moTī baat par laḌnā-jhagaḌnā roz

    din saarī dushmanī phir bhuul jaanī raat meñ

    aur sunñā hai agar 'updesh' aanā gaañv meñ

    phir sunā.eñge kabhī baaqī kahānī raat meñ

    bah rahi hai phir wahi purwa suhani raat mein

    chal paDi hai swapn ki phir rajdhani raat mein

    lauT aaya hai mera bachpan dubara phir wahi

    phir sunaengi mujhe dadi kahani raat mein

    phir luTega dil kisi ka dekhna aakash mein

    baDh rahi hai chand ki phir nit jawani raat mein

    phir sitaron ki koi baraat niklegi yahan

    phir utar aaengi pariyan aasmani raat mein

    phir chamakne lag gae jugnu mere atraf mein

    phir se milne aa gai pagal diwani raat mein

    phir kamal khilne lage hain ganw ke talab mein

    phir mahakne lag gai hai raat-rani raat mein

    chhoTi-moTi baat par laDna-jhagaDna roz hi

    din ki sari dushmani phir bhul jaani raat mein

    aur sunna hai agar 'updesh' aana ganw mein

    phir sunaenge kabhi baqi kahani raat mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now