baha kar KHun bhi rozi mayassar kyon nahin hoti
bahā kar ḳhuun bhī rozī mayassar kyoñ nahīñ hotī
ijāra-dāriyoñ kī had muqarrar kyoñ nahīñ hotī
siyāsat ne badal Daale sabhī mafhūm lafzoñ ke
sharāfat ab daġhā-bāzī se behtar kyoñ nahīñ hotī
apāhij baap to kahtā hai ghar kī raushnī us ko
vo ghar kī raushnī har raat ghar par kyoñ nahīñ hotī
guloñ kī zaḳhm-kārī kā 'amal jaarī hai muddat se
tabī'at narm-ḳhū kāñToñ kī ḳhūgar kyoñ nahīñ hotī
bas is tibbī haqīqat par amīr-e-shahr hairāñ hai
ki rickshaw khīñchne vaale ko sugar kyoñ nahīñ hotī
mizājoñ kā taġhayyur hai ki mausam meñ hai tabdīlī
vo pahlī sī ḳhushī ab tum se mil kar kyoñ nahīñ hotī
baha kar KHun bhi rozi mayassar kyon nahin hoti
ijara-dariyon ki had muqarrar kyon nahin hoti
siyasat ne badal Dale sabhi mafhum lafzon ke
sharafat ab dagha-bazi se behtar kyon nahin hoti
apahij bap to kahta hai ghar ki raushni us ko
wo ghar ki raushni har raat ghar par kyon nahin hoti
gulon ki zaKHm-kari ka 'amal jari hai muddat se
tabi'at narm-KHu kanTon ki KHugar kyon nahin hoti
bas is tibbi haqiqat par amir-e-shahr hairan hai
ki rickshaw khinchne wale ko sugar kyon nahin hoti
mizajon ka taghayyur hai ki mausam mein hai tabdili
wo pahli si KHushi ab tum se mil kar kyon nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.