baha ke basti ko matla jo khul gaya sain
bahā ke bastī ko matla' jo khul gayā sā.īñ
qubūl ho ga.ī kahte ho vo du'ā sā.īñ
so itnā habs baḌhāyā gayā ki phir āḳhir
charāġh de ke ḳharīdī ga.ī havā sā.īñ
ye kin ḳhutūt pe dīvār ham ne khīñchī hai
koī burā nahīñ ham meñ nahīñ bhalā sā.īñ
qat.a huī haiñ zabāneñ ki bik ga.e haiñ suḳhan
zabān rakhte hue koī chup rahā sā.īñ
kareñ na kis liye ābād qatl-gāheñ ham
qatīl honā hī Thahrī agar jazā sā.īñ
kahāñ se qand ko lā kar zabān par rakhte
huī hai zahr se jo ālūda har fazā sā.īñ
du'ā.eñ kis liye māñgī thiiñ habs chhaTne kī
uḌā ke le ga.ī āñdhī mirī ridā sā.īñ
baha ke basti ko matla' jo khul gaya sain
qubul ho gai kahte ho wo du'a sain
so itna habs baDhaya gaya ki phir aaKHir
charagh de ke KHaridi gai hawa sain
ye kin KHutut pe diwar hum ne khinchi hai
koi bura nahin hum mein nahin bhala sain
qata hui hain zabanen ki bik gae hain suKHan
zaban rakhte hue koi chup raha sain
karen na kis liye aabaad qatl-gahen hum
qatil hona hi Thahri agar jaza sain
kahan se qand ko la kar zaban par rakhte
hui hai zahr se jo aaluda har faza sain
du'aen kis liye mangi thin habs chhaTne ki
uDa ke le gai aandhi meri rida sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.