baha ke KHun-e-jigar lala-zar dekhenge
bahā ke ḳhūn-e-jigar lāla-zār dekheñge
ḳhizāñ meñ shoḳhī-e-rang-e-bahār dekheñge
ġham-e-firāq meñ kaaTī hai zindagī ham ne
kaThin hai kitnī shab-e-intizār dekheñge
bikhar ga.ī haiñ jo zulfeñ unheñ sañvāro to
zarā tamāsha-e-lail-o-nahār dekheñge
naqāb uThne pe anjām dekhiye kyā ho
abhī to hai ye havas baar baar dekheñge
nazārā dekhne aa.e haiñ ḳhud vo sāhil par
safīne hote haiñ kis tarah paar dekheñge
banegī apnī ḳhamoshī hī mudda.ā dil kā
kisī ko bazm meñ kyoñ sharm-sār dekheñge
hamāre baa'd ba-sad-yās kārvāñ vaale
kabhī ġhubār kabhī rahguzār dekheñge
ġham-e-firāq ke sho.aloñ ko aur tez karo
ham inqalāb-e-ġham-e-rozgār dekheñge
jalā ke bazm meñ 'nātiq' charāġh-e-dil rakh do
jo ahl-e-dard haiñ parvāna-vār dekheñge
baha ke KHun-e-jigar lala-zar dekhenge
KHizan mein shoKHi-e-rang-e-bahaar dekhenge
gham-e-firaq mein kaTi hai zindagi hum ne
kaThin hai kitni shab-e-intizar dekhenge
bikhar gai hain jo zulfen unhen sanwaro to
zara tamasha-e-lail-o-nahaar dekhenge
naqab uThne pe anjam dekhiye kya ho
abhi to hai ye hawas bar bar dekhenge
nazara dekhne aae hain KHud wo sahil par
safine hote hain kis tarah par dekhenge
banegi apni KHamoshi hi muddaa dil ka
kisi ko bazm mein kyon sharm-sar dekhenge
hamare ba'd ba-sad-yas karwan wale
kabhi ghubar kabhi rahguzar dekhenge
gham-e-firaq ke shoalon ko aur tez karo
hum inqalab-e-gham-e-rozgar dekhenge
jala ke bazm mein 'natiq' charagh-e-dil rakh do
jo ahl-e-dard hain parwana-war dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.