baha kuchh ashk baha ratjagon ke bab saja
bahā kuchh ashk bahā ratjagoñ ke baab sajā
'shabāb' apne liye ik nayā azaab sajā
dhanak ke rang kahāñ aur mere ḳhvāb kahāñ
utar ke kāhkashāñ se kabhī ye ḳhvāb sajā
kabhī to sunñe meñ aa.e ki tū bhī royā thā
kabhī to jism ke āñgan meñ bhī sahāb sajā
mujhe havādis-e-daurāñ ne gar bujhā Daalā
ho fikr kyoñ tujhe tū apnī āb-o-tāb sajā
ki titliyāñ bhī baḌī der tak uḌī thiiñ magar
phir us ke baad to kāñToñ se merā ḳhvāb sajā
jo dhyān meñ use lā.ūñ to ḳhushbueñ umDeñ
ye merī fikr kī bastī meñ kyā gulāb sajā
maiñ apnī zaat meñ gum thā mujhe ḳhabar na huī
ki mere vāste kab se tirā 'shabāb' sajā
baha kuchh ashk baha ratjagon ke bab saja
'shabab' apne liye ek naya azab saja
dhanak ke rang kahan aur mere KHwab kahan
utar ke kahkashan se kabhi ye KHwab saja
kabhi to sunne mein aae ki tu bhi roya tha
kabhi to jism ke aangan mein bhi sahab saja
mujhe hawadis-e-dauran ne gar bujha Dala
ho fikr kyon tujhe tu apni aab-o-tab saja
ki titliyan bhi baDi der tak uDi thin magar
phir us ke baad to kanTon se mera KHwab saja
jo dhyan mein use laun to KHushbuen umDen
ye meri fikr ki basti mein kya gulab saja
main apni zat mein gum tha mujhe KHabar na hui
ki mere waste kab se tera 'shabab' saja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.