bahane DhunD ke late the yar ek se ek
bahāne DhūñD ke laate the yaar ek se ek
hamāre saath rahe ġham-gusār ek se ek
kahāñ kahāñ pe aqīdoñ se sar jhukā.e koī
qadam qadam pe haiñ parvardigār ek se ek
falak pe ho ki na ho ḳhāk-rū koī maujūd
zamīn par haiñ sitārā-shi.ār ek se ek
tumhīñ nahīñ ho namāz-e-shab-e-vafā ke amiin
paḌe hue haiñ tahajjud-guzār ek se ek
abhī to sirf ta.āqub mirī zamīn kā hai
abhī to hoñge havā meñ shikār ek se ek
kise kise maiñ banā.ūñ nigāh kā markaz
ki jaan ek hai aur jāñ-nisār ek se ek
koī na koī banā.egā ishq ke kuuze
vafā kā chaak salāmat kumhār ek se ek
ik aa.ine ne mire kaan meñ kahā 'harshit'
tumhī nahīñ haiñ yahāñ dāġhdār ek se ek
bahane DhunD ke late the yar ek se ek
hamare sath rahe gham-gusar ek se ek
kahan kahan pe aqidon se sar jhukae koi
qadam qadam pe hain parwardigar ek se ek
falak pe ho ki na ho KHak-ru koi maujud
zamin par hain sitara-shiar ek se ek
tumhin nahin ho namaz-e-shab-e-wafa ke amin
paDe hue hain tahajjud-guzar ek se ek
abhi to sirf taaqub meri zamin ka hai
abhi to honge hawa mein shikar ek se ek
kise kise main banaun nigah ka markaz
ki jaan ek hai aur jaan-nisar ek se ek
koi na koi banaega ishq ke kuze
wafa ka chaak salamat kumhaar ek se ek
ek aaine ne mere kan mein kaha 'harshit'
tumhi nahin hain yahan daghdar ek se ek
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.