bahane DhunD na yun humse dur jaane ke
bahāne DhūñD na yuuñ ham se duur jaane ke
ga.e jo duur to phir paas ham na aane ke
nazar milā ke yakāyak nazar jhukā lenā
tarīqe ḳhuub nikāle haiñ hosh uḌāne ke
guloñ pe rang chaḌhā hai mahak rahī hai fazā
ki mausam aa ga.e kaliyoñ ke naaz uThāne ke
namak liye hue phirte haiñ log muTThī meñ
jigar ke zaḳhm kisī ko na ham dikhāne ke
piyā hai ham ne miyāñ ghaaT ghaaT kā paanī
har ek taur se vāqif haiñ ham zamāne ke
maiñ kaam is liye letā huuñ darguzar se janāb
ki din rahe na mire āstīñ chaḌhāne ke
ai 'shād' khul ga.ī ham par jahāñ kī asliyyat
kisī ke jhāñse meñ ab ham kabhī na aane ke
bahane DhunD na yun hum se dur jaane ke
gae jo dur to phir pas hum na aane ke
nazar mila ke yakayak nazar jhuka lena
tariqe KHub nikale hain hosh uDane ke
gulon pe rang chaDha hai mahak rahi hai faza
ki mausam aa gae kaliyon ke naz uThane ke
namak liye hue phirte hain log muTThi mein
jigar ke zaKHm kisi ko na hum dikhane ke
piya hai hum ne miyan ghaT ghaT ka pani
har ek taur se waqif hain hum zamane ke
main kaam is liye leta hun darguzar se janab
ki din rahe na mere aastin chaDhane ke
ai 'shad' khul gai hum par jahan ki asliyyat
kisi ke jhanse mein ab hum kabhi na aane ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.