bahaar aai hai phir gul-posh hoga gulsitan apna
bahār aa.ī hai phir gul-posh hogā gulsitāñ apnā
qafas meñ yaad aatā hai mujhe ab āshiyāñ apnā
na ab apnī zamīñ hai aur na hai ab āsmāñ apnā
batā phir terī duniyā meñ Thikānā hai kahāñ apnā
chaman apnā na gul apne na hai ab āshiyāñ apnā
ḳhudā kī shaan dushman ho gayā saarā jahāñ apnā
yahāñ uThtā nahīñ hai paañv fart-e-nā-tavānī se
vahāñ chalne ko hai tayyār mīr-e-kārvāñ apnā
isī ummīd hī meñ jaan dī hai marne vaale ne
ab aa.egā ab aa.egā masīhā-e-zamāñ apnā
qafas to kyā hai jal jā.egā ye saarā jahāñ sayyād
qayāmat hai qayāmat nāla-e-shoa.la-fishāñ apnā
ḳhudā rakkhe ajab shai hai ye yak-rangī mohabbat kī
samajhte haiñ bayāñ terā jo kahtā huuñ bayāñ apnā
bahut sunte rahe ho qais aur farhād ke qisse
suno to aaj 'fāzil' bhī sunā.e kuchh bayāñ apnā
bahaar aai hai phir gul-posh hoga gulsitan apna
qafas mein yaad aata hai mujhe ab aashiyan apna
na ab apni zamin hai aur na hai ab aasman apna
bata phir teri duniya mein Thikana hai kahan apna
chaman apna na gul apne na hai ab aashiyan apna
KHuda ki shan dushman ho gaya sara jahan apna
yahan uThta nahin hai panw fart-e-na-tawani se
wahan chalne ko hai tayyar mir-e-karwan apna
isi ummid hi mein jaan di hai marne wale ne
ab aaega ab aaega masiha-e-zaman apna
qafas to kya hai jal jaega ye sara jahan sayyaad
qayamat hai qayamat nala-e-shoala-fishan apna
KHuda rakkhe ajab shai hai ye yak-rangi mohabbat ki
samajhte hain bayan tera jo kahta hun bayan apna
bahut sunte rahe ho qais aur farhad ke qisse
suno to aaj 'fazil' bhi sunae kuchh bayan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.