bahaar aai hai phir jhum kar sahab uTha
bahār aa.ī hai phir jhuum kar sahāb uThā
kahāñ hai mutrib-e-rañgīñ-navā rabāb uThā
javāz mai kā muḳhālif agar hai ai vaa.iz
kahāñ likhā hai dikhā lā uThā kitāb uThā
fazā meñ khol diye haiñ ghaTāoñ ne gesū
nahīñ hai jaam na ho shīsha-e-sharāb uThā
har ek phuul meñ raqsāñ hai kā.enāt-e-jamāl
bahār aa.ī ki hai ik mahshar-e-shabāb uThā
kahāñ ke dair-o-haram justajū-e-jalva-gar
yahī naqāb hai āñkhoñ se ye naqāb uThā
nasīm-e-sub.h se shāḳheñ milīñ to maiñ samjhā
ki husn-e-ālam tiflī meñ nīm-ḳhvāb uThā
libās-e-māh meñ 'ehsān' dekh kaun aayā
nigāh-e-sū-e-falak ḳhānumāñ-ḳharāb uThā
bahaar aai hai phir jhum kar sahab uTha
kahan hai mutrib-e-rangin-nawa rabab uTha
jawaz mai ka muKHalif agar hai ai waiz
kahan likha hai dikha la uTha kitab uTha
faza mein khol diye hain ghaTaon ne gesu
nahin hai jam na ho shisha-e-sharab uTha
har ek phul mein raqsan hai kaenat-e-jamal
bahaar aai ki hai ek mahshar-e-shabab uTha
kahan ke dair-o-haram justaju-e-jalwa-gar
yahi naqab hai aankhon se ye naqab uTha
nasim-e-subh se shaKHen milin to main samjha
ki husn-e-alam tifli mein nim-KHwab uTha
libas-e-mah mein 'ehsan' dekh kaun aaya
nigah-e-su-e-falak KHanuman-KHarab uTha
- Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 74)
- Author : Shabnam Parveen
- Publication : Asghar Publishers (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.