bahaar aane pe gulshan mein ajab ye majra hoga
bahār aane pe gulshan meñ ajab ye mājrā hogā
koī dāman guloñ se koī kāñToñ se bharā hogā
ba-roz-e-hashr jab us se hamārā sāmnā hogā
ham us ko dekhte hoñge vo ham ko dekhtā hogā
unhīñ ko haq hai jiine kā jo marne se na ghabrā.eñ
jo jiine se bhī ghabrā.eñ vo mar jaa.eñ to kyā hogā
tujhe apnā kahūñ ġhairoñ kī mahfil meñ ye nā-mumkin
kabhī haañ be-ḳhudī meñ maiñ ne aisā kah diyā hogā
tirā hī naam hai lab par tirā hī dhyān hai dil meñ
ḳhudā kah duuñ tujhe hamdam to kyā ye nāravā hogā
na aanā ho to ḳhvāboñ meñ bhī aap aa.eñ na ab hargiz
kisī furqat ke maare par karam ye aap kā hogā
mirā honā na honā hai tumhārī bazm meñ yaksāñ
na thā to tum ko kyā ġham thā na hūñgā maiñ to kyā hogā
muqaddar to muqaddar hai sar-e-taslīm ḳham kar de
burā hogā bhalā hogā tirī koshish se kyā hogā
hameñ bhī dekh leñ ik din kabhī vo mehrbāñ ho kar
hamārī zindagī meñ 'sehr' kyā ye mo.ajiza hogā
bahaar aane pe gulshan mein ajab ye majra hoga
koi daman gulon se koi kanTon se bhara hoga
ba-roz-e-hashr jab us se hamara samna hoga
hum us ko dekhte honge wo hum ko dekhta hoga
unhin ko haq hai jine ka jo marne se na ghabraen
jo jine se bhi ghabraen wo mar jaen to kya hoga
tujhe apna kahun ghairon ki mahfil mein ye na-mumkin
kabhi han be-KHudi mein main ne aisa kah diya hoga
tera hi nam hai lab par tera hi dhyan hai dil mein
KHuda kah dun tujhe hamdam to kya ye narawa hoga
na aana ho to KHwabon mein bhi aap aaen na ab hargiz
kisi furqat ke mare par karam ye aap ka hoga
mera hona na hona hai tumhaari bazm mein yaksan
na tha to tum ko kya gham tha na hunga main to kya hoga
muqaddar to muqaddar hai sar-e-taslim KHam kar de
bura hoga bhala hoga teri koshish se kya hoga
hamein bhi dekh len ek din kabhi wo mehrban ho kar
hamari zindagi mein 'sehr' kya ye moajiza hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.