bahaar aate hi daman-o-gireban jag uThte hain
bahār aate hī dāmān-o-girebāñ jaag uThte haiñ
gulistāñ karvaTeñ lete haiñ zindāñ jaag uThte haiñ
junūñ-afroz jab gesū-e-jānāñ jaag uThte haiñ
ḳhirad kī god meñ ḳhvāb-e-pareshāñ jaag uThte haiñ
kabhī jab dil meñ uThtī haiñ kisī kī yaad kī maujeñ
to ḳhvābīda tamannāoñ ke tūfāñ jaag uThte haiñ
damaktī haiñ kisī ke lab pe jab kirneñ tabassum kī
fazā.eñ chauñk jaatī haiñ gulistāñ jaag uThte haiñ
ġham-e-jānāñ se Dhaltā hai ġham-e-daurāñ kā ā.īna
ye vo qālib hai jis meñ qalb-e-insāñ jaag uThte haiñ
kabhī añgḌā.iyāñ letī haiñ jab vo naġhmagī nazreñ
nujūm-o-māh ke sāz-e-ġhazal-ḳhvāñ jaag uThte haiñ
mirī har saañs kī lau irtiqā kī lai hī gaatī hai
tirī aahaT se naġhmāt-e-rag-e-jāñ jaag uThte haiñ
koī ġham ho 'shifā' fitrat kā ik in.aam hotā hai
ki is se zindagī ke saare imkāñ jaag uThte haiñ
bahaar aate hi daman-o-gireban jag uThte hain
gulistan karwaTen lete hain zindan jag uThte hain
junun-afroz jab gesu-e-jaanan jag uThte hain
KHirad ki god mein KHwab-e-pareshan jag uThte hain
kabhi jab dil mein uThti hain kisi ki yaad ki maujen
to KHwabida tamannaon ke tufan jag uThte hain
damakti hain kisi ke lab pe jab kirnen tabassum ki
fazaen chaunk jati hain gulistan jag uThte hain
gham-e-jaanan se Dhalta hai gham-e-dauran ka aaina
ye wo qalib hai jis mein qalb-e-insan jag uThte hain
kabhi angDaiyan leti hain jab wo naghmagi nazren
nujum-o-mah ke saz-e-ghazal-KHwan jag uThte hain
meri har sans ki lau irtiqa ki lai hi gati hai
teri aahaT se naghmat-e-rag-e-jaan jag uThte hain
koi gham ho 'shifa' fitrat ka ek inam hota hai
ki is se zindagi ke sare imkan jag uThte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.