bahaar apni na gul apne na sehn-e-gulsitan apna
bahār apnī na gul apne na sehn-e-gulsitāñ apnā
banā leñ kyoñ na vīrāne meñ jā kar āshiyāñ apnā
sunā.eñ aah kis ko qissa-e-dard-e-nihāñ apnā
ab aatā hai nazar nā-mehrbāñ har meherbāñ apnā
batā.e kaun ġhurbat meñ hai kyā nām-o-nishāñ apnā
na koī ham-suḳhan apnā na koī rāzdāñ apnā
karishma jazb-e-ulfat kā ye dekheñ dekhne vaale
vahīñ manzil nazar aa.ī qadam uThThā jahāñ apnā
sharaf hāsil huā hai jab se us dar kī gadā.ī kā
zamīñ apnī falak apnā hai mehr-e-āsmāñ apnā
shu.ūr-e-āgahī goyā faqat lafz-o-bayāñ tak hai
hai sar-basta azal se aaj tak rāz-e-nihāñ apnā
gumāñ hai sīna-e-sozāñ meñ phūTe aable dil ke
sharar ban kar jo niklā chashm se ashk-e-ravāñ apnā
talāsh-e-yār aur is be-ḳhudī meñ 'zabt' kab mumkin
vo aalam hai batā sakte nahīñ ḳhud hī nishāñ apnā
bahaar apni na gul apne na sehn-e-gulsitan apna
bana len kyon na virane mein ja kar aashiyan apna
sunaen aah kis ko qissa-e-dard-e-nihan apna
ab aata hai nazar na-mehrban har meherban apna
batae kaun ghurbat mein hai kya nam-o-nishan apna
na koi ham-suKHan apna na koi raazdan apna
karishma jazb-e-ulfat ka ye dekhen dekhne wale
wahin manzil nazar aai qadam uThTha jahan apna
sharaf hasil hua hai jab se us dar ki gadai ka
zamin apni falak apna hai mehr-e-asman apna
shuur-e-agahi goya faqat lafz-o-bayan tak hai
hai sar-basta azal se aaj tak raaz-e-nihan apna
guman hai sina-e-sozan mein phuTe aable dil ke
sharar ban kar jo nikla chashm se ashk-e-rawan apna
talash-e-yar aur is be-KHudi mein 'zabt' kab mumkin
wo aalam hai bata sakte nahin KHud hi nishan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.