bahaar-e-kaif-agin maKHzan-e-alam hoti hai
bahār-e-kaif-āgīñ maḳhzan-e-ālām hotī hai
qafas kī sub.h se behtar chaman kī shaam hotī hai
gumāñ hotā hai maiḳhāne meñ jaise gir paḌī bijlī
qayāmat-ḳhez āvāz-e-shikast-e-jām hotī hai
girāñ hotī hai ai saaqī hamārī tab.a-e-rangīñ par
vo mahfil jis meñ taqlīd-e-mazāq-e-ām hotī hai
banegā āshiyāna bhī vahīñ par ham jahāñ hoñge
kahīñ āzādī-e-fitrat asīr-e-dām hotī hai
ye maanā ham-safar 'shā.ir' sañbhal kar paañv rakhte haiñ
magar duniyā kahīñ āsūda-e-ilzām hotī hai
bahaar-e-kaif-agin maKHzan-e-alam hoti hai
qafas ki subh se behtar chaman ki sham hoti hai
guman hota hai maiKHane mein jaise gir paDi bijli
qayamat-KHez aawaz-e-shikast-e-jam hoti hai
giran hoti hai ai saqi hamari taba-e-rangin par
wo mahfil jis mein taqlid-e-mazaq-e-am hoti hai
banega aashiyana bhi wahin par hum jahan honge
kahin aazadi-e-fitrat asir-e-dam hoti hai
ye mana ham-safar 'shair' sanbhal kar panw rakhte hain
magar duniya kahin aasuda-e-ilzam hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.