Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar-e-lala-o-gul mein shaguftagi na rahi

Shareef Ahmad Qureshi

bahaar-e-lala-o-gul mein shaguftagi na rahi

Shareef Ahmad Qureshi

MORE BYShareef Ahmad Qureshi

    bahār-e-lāla-o-gul meñ shaguftagī na rahī

    vo kyā ga.e ki gulistāñ meñ dilkashī na rahī

    jo vaqf-e-zinda-dilī thī vo zindagī na rahī

    palak jhapakte duniyā meñ dilkashī na rahī

    hazār sham.eñ farozāñ jo haiñ to kyā hāsil

    charāġh-e-zīst āñkhoñ meñ raushnī na rahī

    asīr-e-shām-e-alam ko hai intizār-e-sahar

    magar hayāt sahar tak rahī rahī na rahī

    ḳhizāñ ke daur meñ itnī kahāñ thī vīrānī

    bharī bahār meñ ik shāḳh bhī harī na rahī

    shab-e-firāq zulmat are ma.āz-allāh

    sitāra-hā-e-falak meñ bhī raushnī na rahī

    mire dil meñ ġham-e-do-jahāñ sameT diyā

    navāzishāt-e-ḳhudā meñ koī kamī na rahī

    kalām bhī tirā fariyād-e-naġhma ab hai 'sharīf'

    hadīs-e-zinda-dilī terī shā.erī na rahī

    bahaar-e-lala-o-gul mein shaguftagi na rahi

    wo kya gae ki gulistan mein dilkashi na rahi

    jo waqf-e-zinda-dili thi wo zindagi na rahi

    palak jhapakte hi duniya mein dilkashi na rahi

    hazar shamen farozan jo hain to kya hasil

    charagh-e-zist ki aankhon mein raushni na rahi

    asir-e-sham-e-alam ko hai intizar-e-sahar

    magar hayat sahar tak rahi rahi na rahi

    KHizan ke daur mein itni kahan thi virani

    bhari bahaar mein ek shaKH bhi hari na rahi

    shab-e-firaq ki zulmat are maaz-allah

    sitara-ha-e-falak mein bhi raushni na rahi

    mere hi dil mein gham-e-do-jahan sameT diya

    nawazishat-e-KHuda mein koi kami na rahi

    kalam bhi tera fariyaad-e-naghma ab hai 'sharif'

    hadis-e-zinda-dili teri shaeri na rahi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now