bahaar-e-mani-e-rangin hai andaz-e-raqam mera
bahaar-e-mani-e-rangin hai andaz-e-raqam mera
Munshi Mohammad Hayat Khan Mazhar
MORE BYMunshi Mohammad Hayat Khan Mazhar
bahār-e-ma.anī-e-rangīñ hai andāz-e-raqam merā
banā hai matl.a-e-hamd-e-ḳhudā bāġh-e-iram merā
ajal ke haath se āḳhir nikal aaya bharam merā
nihāñ thā andarūn-e-parda-e-hastī adam merā
nahīñ muusā ki ġhash khā kar girūñgā is tajallī se
azal se shaġhl hai nazzāra-e-husn-e-sanam merā
ye vo ātish hai bal dam meñ nikāle barq-e-sozāñ kā
paḌī hai sard dozaḳh dekh kar soz-e-alam merā
na girtā chaah meñ un kī to kyā kuueñ jhañkāte vo
tabāhī kā mirī baa.is huā hai ḳhud sitam merā
niyām-e-teġh se terī jo ye bijlī nikaltī hai
to do do haath uchhaltā hai idhar siine meñ dam merā
falak kī dekh kar raftār-e-pechīda ko hairāñ huuñ
kahāñ jā kar pahuñch kartā hai 'maz.har' pech-o-ḳham merā
bahaar-e-mani-e-rangin hai andaz-e-raqam mera
bana hai matla-e-hamd-e-KHuda bagh-e-iram mera
ajal ke hath se aaKHir nikal aaya bharam mera
nihan tha andarun-e-parda-e-hasti adam mera
nahin musa ki ghash kha kar girunga is tajalli se
azal se shaghl hai nazzara-e-husn-e-sanam mera
ye wo aatish hai bal dam mein nikale barq-e-sozan ka
paDi hai sard dozaKH dekh kar soz-e-alam mera
na girta chah mein un ki to kya kuen jhankate wo
tabahi ka meri bais hua hai KHud sitam mera
niyam-e-tegh se teri jo ye bijli nikalti hai
to do do hath uchhalta hai idhar sine mein dam mera
falak ki dekh kar raftar-e-pechida ko hairan hun
kahan ja kar pahunch karta hai 'mazhar' pech-o-KHam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.