bahaar-e-mahfil-e-yaran sajai jati hai
bahār-e-mahfil-e-yārāñ sajā.ī jaatī hai
hamāre haath se ab pārsā.ī jaatī hai
añdherī raat meñ palkoñ pe diip jalte haiñ
tasavvurāt kī mahfil sajā.ī jaatī hai
chhupā chhupā ke chalo manzaroñ se āñkhoñ ko
ki is tarah bhī nazar kī safā.ī jaatī hai
ye kyā jagah hai jahāñ daaġh daaġh sīnoñ meñ
ḳhud apnī baat bhī ḳhud se chhupā.ī jaatī hai
har ek sub.h-e-tamannā kā shahr sajtā hai
har ek shab na.ī duniyā basā.ī jaatī hai
isī kā naam zamāne ne rakh liyā aañsū
ye merī pyaas jo āñkhoñ meñ aa.ī jaatī hai
har ek zehn meñ hotā hai rang-e-ḳhāk-e-vatan
zamīñ kī ḳhushbū zamīroñ meñ paa.ī jaatī hai
bacheñ to kaise bacheñ apne saa.e se 'nāshir'
badan kī dhuup muñDeroñ tak aa.ī jaatī hai
bahaar-e-mahfil-e-yaran sajai jati hai
hamare hath se ab parsai jati hai
andheri raat mein palkon pe dip jalte hain
tasawwuraat ki mahfil sajai jati hai
chhupa chhupa ke chalo manzaron se aankhon ko
ki is tarah bhi nazar ki safai jati hai
ye kya jagah hai jahan dagh dagh sinon mein
KHud apni baat bhi KHud se chhupai jati hai
har ek subh-e-tamanna ka shahr sajta hai
har ek shab nai duniya basai jati hai
isi ka nam zamane ne rakh liya aansu
ye meri pyas jo aankhon mein aai jati hai
har ek zehn mein hota hai rang-e-KHak-e-watan
zamin ki KHushbu zamiron mein pai jati hai
bachen to kaise bachen apne sae se 'nashir'
badan ki dhup munDeron tak aai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.