bahaar ka hai ye mausam magar bahaar nahin
bahār kā hai ye mausam magar bahār nahīñ
dil-e-hazīñ ko kahīñ ek pal qarār nahīñ
maiñ muntazir huuñ sahar to zarūr aa.egī
havāo merā charāġhoñ pe inhisār nahīñ
har ek moḌ pe tanhā.iyoñ ne saath diyā
mujhe kisī kā bhī ai dost intizār nahīñ
batā rahe ho ki sahrā se lauT aaya huuñ
tumhāre dāman-e-dil pe kahīñ ġhubār nahīñ
mohabbatoñ ke fasāne meñ rah gayā tanhā
tire sahīfa-e-dil meñ mirā shumār nahīñ
mohabbatoñ ke qarīne badal ga.e haiñ bahut
yahāñ kisī ke liye koī sogvār nahīñ
nazar milāo haqā.eq se tum yahāñ 'ajmal'
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā kā e.atibār nahīñ
bahaar ka hai ye mausam magar bahaar nahin
dil-e-hazin ko kahin ek pal qarar nahin
main muntazir hun sahar to zarur aaegi
hawao mera charaghon pe inhisar nahin
har ek moD pe tanhaiyon ne sath diya
mujhe kisi ka bhi ai dost intizar nahin
bata rahe ho ki sahra se lauT aaya hun
tumhaare daman-e-dil pe kahin ghubar nahin
mohabbaton ke fasane mein rah gaya tanha
tere sahifa-e-dil mein mera shumar nahin
mohabbaton ke qarine badal gae hain bahut
yahan kisi ke liye koi sogwar nahin
nazar milao haqaeq se tum yahan 'ajmal'
KHayal-o-KHwab ki duniya ka eatibar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.