bahaar mein bhi chaman ajnabi lage hai mujhe
bahār meñ bhī chaman ajnabī lage hai mujhe
har ek phuul meñ murda-dilī lage hai mujhe
har ek baat kā un kī yaqīn kartā huuñ
har ek baat meñ sanjīdgī lage hai mujhe
bujhā bujhā sā ye sabza bujhā bujhā sā chāñd
baḌī ajiib sī ye zindagī lage hai mujhe
tire ḳhayāl kī jannat meñ hañs rahā huuñ maiñ
tire baġhair burī zindagī lage hai mujhe
qadam qadam pe ye muḌ muḌ ke dekhnā 'māhir'
kisī ne jaise ki āvāz dī lage hai mujhe
bahaar mein bhi chaman ajnabi lage hai mujhe
har ek phul mein murda-dili lage hai mujhe
har ek baat ka un ki yaqin karta hun
har ek baat mein sanjidgi lage hai mujhe
bujha bujha sa ye sabza bujha bujha sa chand
baDi ajib si ye zindagi lage hai mujhe
tere KHayal ki jannat mein hans raha hun main
tere baghair buri zindagi lage hai mujhe
qadam qadam pe ye muD muD ke dekhna 'mahir'
kisi ne jaise ki aawaz di lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.