bahaar mein bhi shagufta koi gulab nahin
bahār meñ bhī shagufta koī gulāb nahīñ
shabāb kā hai zamāna magar shabāb nahīñ
sahar to aa.ī hai par sub.h-e-inqalāb nahīñ
ye āftāb kā dhokā hai āftāb nahīñ
lahūluhān chaman hai to dast pyāsā hai
kahāñ kahāñ pe karam aap kā janāb nahīñ
ḳhizāñ kā daur to guzrā ḳhudā ḳhudā kar ke
bahār aa.ī to mai-ḳhāne meñ sharāb nahīñ
ajiib hai tirī dariyā-dilī kā afsāna
ki faiz-e-ām hai aur koī faizyāb nahīñ
alam-nasīb ke chehre ko kaun paḌhtā hai
ki ye kitāb nashāt-āfrīñ kitāb nahīñ
junūñ ke saaz pe kar legā raqs dīvāna
balā se aaj agar naġhma-e-rabāb nahīñ
kisī kā bazm meñ ġhairat se dam ghuTā jaa.e
magar zamīr-faroshoñ ko kuchh hijāb nahīñ
bujhā sake na mazālim ke tund jhoñke bhī
charāġh-e-hausla-e-shauq kā javāb nahīñ
ḳharāb rahtā hai māhaul kyoñ ḳhudā jaane
is anjuman meñ to ab koī bhī ḳharāb nahīñ
'azīz' ḳhud ko bachāo nazar ke dhoke se
dhueñ kā raqs fazā meñ hai ye sahāb nahīñ
bahaar mein bhi shagufta koi gulab nahin
shabab ka hai zamana magar shabab nahin
sahar to aai hai par subh-e-inqalab nahin
ye aaftab ka dhoka hai aaftab nahin
lahuluhan chaman hai to dast pyasa hai
kahan kahan pe karam aap ka janab nahin
KHizan ka daur to guzra KHuda KHuda kar ke
bahaar aai to mai-KHane mein sharab nahin
ajib hai teri dariya-dili ka afsana
ki faiz-e-am hai aur koi faizyab nahin
alam-nasib ke chehre ko kaun paDhta hai
ki ye kitab nashat-afrin kitab nahin
junun ke saz pe kar lega raqs diwana
bala se aaj agar naghma-e-rabab nahin
kisi ka bazm mein ghairat se dam ghuTa jae
magar zamir-faroshon ko kuchh hijab nahin
bujha sake na mazalim ke tund jhonke bhi
charagh-e-hausla-e-shauq ka jawab nahin
KHarab rahta hai mahaul kyon KHuda jaane
is anjuman mein to ab koi bhi KHarab nahin
'aziz' KHud ko bachao nazar ke dhoke se
dhuen ka raqs faza mein hai ye sahab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.