bahaar nam hai mausam ke ruKH badalne ka
bahār naam hai mausam ke ruḳh badalne kā
lo vaqt aa gayā bāġhoñ meñ aam phalne kā
maiñ haar maan chukā huuñ ḳhushāmadeñ kar ke
magar vo naam hī letā nahīñ pighalne kā
vo Dagmagā ke bhī sābit-qadam hī rahtā hai
hameñ bhī us se hunar sīkhnā hai chalne kā
ajab nahīñ hai ki rusvā.iyāñ hī haath aa.eñ
sañbhal bhī jā ki abhī vaqt hai sañbhalne kā
hatheliyoñ pe sajā.e haiñ jaan parvāne
ab intizār hai bas un ko sham.a jalne kā
har ek moḌ pe pahre biThā diye ga.e 'dāġh'
koī bhī rāsta baaqī nahīñ nikalne kā
bahaar nam hai mausam ke ruKH badalne ka
lo waqt aa gaya baghon mein aam phalne ka
main haar man chuka hun KHushamaden kar ke
magar wo nam hi leta nahin pighalne ka
wo Dagmaga ke bhi sabit-qadam hi rahta hai
hamein bhi us se hunar sikhna hai chalne ka
ajab nahin hai ki ruswaiyan hi hath aaen
sanbhal bhi ja ki abhi waqt hai sanbhalne ka
hatheliyon pe sajae hain jaan parwane
ab intizar hai bas un ko shama jalne ka
har ek moD pe pahre biTha diye gae 'dagh'
koi bhi rasta baqi nahin nikalne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.