bahaaron ke mausam ko kya ho gaya hai
bahāroñ ke mausam ko kyā ho gayā hai
ḳhizāñ kā chalan aam sā ho gayā hai
kahīñ par zamīñ ḳhuun meñ tar-ba-tar hai
kahīñ āsmāñ surḳh sā ho gayā hai
har ik samt hai zulmatoñ kā baserā
ujālā to jaise ḳhafā ho gayā hai
sulagtī huī nafratoñ se bhare dil
mohabbat kā jazba havā ho gayā hai
mafādāt aur maslahat ḳhud-parastī
fusūñ kaisā jag meñ bapā ho gayā hai
chalo so raheñ oḌh kar ham zamīñ ko
ki duniyā meñ jiinā sazā ho gayā hai
bahaaron ke mausam ko kya ho gaya hai
KHizan ka chalan aam sa ho gaya hai
kahin par zamin KHun mein tar-ba-tar hai
kahin aasman surKH sa ho gaya hai
har ek samt hai zulmaton ka basera
ujala to jaise KHafa ho gaya hai
sulagti hui nafraton se bhare dil
mohabbat ka jazba hawa ho gaya hai
mafadat aur maslahat KHud-parasti
fusun kaisa jag mein bapa ho gaya hai
chalo so rahen oDh kar hum zamin ko
ki duniya mein jina saza ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.