bahaaron ke rangin zamane hain humse
bahāroñ ke rangīñ zamāne haiñ ham se
mohabbat ke saare fasāne haiñ ham se
hamāre bhī dam se baḌī raunaqeñ haiñ
salāmat tire bāda-ḳhāne haiñ ham se
jabīn-e-aqīdat kahāñ ḳham nahīñ hai
tumhāre tamām āstāne haiñ ham se
hamārī tabāhī pe ro.eñge ik din
unheñ bhī baḌe zaḳhm khāne haiñ ham se
baḌī saḳht hai zindagī kī vafā bhī
murattab anokhe fasāne haiñ ham se
javānī se sadme uThā.eñge ham bhī
javānī ko sadme uThāne haiñ ham se
bahāroñ kī nabzeñ haiñ mamnūn 'anjum'
chaman ham se haiñ āshiyāne haiñ ham se
bahaaron ke rangin zamane hain hum se
mohabbat ke sare fasane hain hum se
hamare bhi dam se baDi raunaqen hain
salamat tere baada-KHane hain hum se
jabin-e-aqidat kahan KHam nahin hai
tumhaare tamam aastane hain hum se
hamari tabahi pe roenge ek din
unhen bhi baDe zaKHm khane hain hum se
baDi saKHt hai zindagi ki wafa bhi
murattab anokhe fasane hain hum se
jawani se sadme uThaenge hum bhi
jawani ko sadme uThane hain hum se
bahaaron ki nabzen hain mamnun 'anjum'
chaman hum se hain aashiyane hain hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.