bahal sakega na dil ab kisi bahane se
bahal sakegā na dil ab kisī bahāne se
zamāna ham se hai bezār ham zamāne se
jis āstāne pe sajde ko jā nahīñ miltī
bañdhī hai aas mirī aise āstāne se
har ek de nahīñ saktā hai imtihān-e-vafā
ye vo kaḌī hai jo uThtī nahīñ uThāne se
koī jalā.egā kyā soḳhta-nasīboñ ko
ki raakh aag pakaḌtī nahīñ jalāne se
rulāyā ḳhuun hameñ apne zabt-e-girya ne
ye kaam aur bigaḌtā gayā banāne se
talāsh kī ga.ī jis dam chaman meñ bijlī kī
to dastiyāb huī mere āshiyāne se
duā.eñ dete haiñ vābastgān-e-dard-e-firāq
ġharīb bach ga.e sarkār ke bachāne se
salā-e-ishq hai yak-dar-ba-gīr-o-muhkam-gīr
mujhe to kaam hai sirf un ke āstāne se
'qadīr' shām-o-sahar kī use bhalā kyā fikr
vazīfa paatā ho jo ġhaib ke ḳhazāne se
bahal sakega na dil ab kisi bahane se
zamana hum se hai bezar hum zamane se
jis aastane pe sajde ko ja nahin milti
bandhi hai aas meri aise aastane se
har ek de nahin sakta hai imtihan-e-wafa
ye wo kaDi hai jo uThti nahin uThane se
koi jalaega kya soKHta-nasibon ko
ki rakh aag pakaDti nahin jalane se
rulaya KHun hamein apne zabt-e-girya ne
ye kaam aur bigaDta gaya banane se
talash ki gai jis dam chaman mein bijli ki
to dastiyab hui mere aashiyane se
duaen dete hain wabastgan-e-dard-e-firaq
gharib bach gae sarkar ke bachane se
sala-e-ishq hai yak-dar-ba-gir-o-muhkam-gir
mujhe to kaam hai sirf un ke aastane se
'qadir' sham-o-sahar ki use bhala kya fikr
wazifa pata ho jo ghaib ke KHazane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.