bahbud-o-madad ki wo sanad se nikal aae
bahbūd-o-madad kī vo sanad se nikal aa.e
kuchh peT ġharīboñ kī rasad se nikal aa.e
un ko maiñ khulī āñkhoñ se ab dekh rahā huuñ
kuchh ḳhvāb mirī niiñd kī zad se nikal aa.e
bachpan kī hadeñ toḌ de chal umr ke ham-rāh
ab to tire bachche tere qad se nikal aa.e
raste meñ zamāne ne bichhā rakkhe the kāñTe
ham apne irādoñ kī madad se nikal aa.e
mat DhūñDh mere dost tabassum mire lab par
ab kaise ye āġhosh-e-lahad se nikal aa.e
'ḳhālid' mire jazbāt kī shiddat meñ kamī thī
aañsū bhī mirī āñkhoñ kī had se nikal aa.e
bahbud-o-madad ki wo sanad se nikal aae
kuchh peT gharibon ki rasad se nikal aae
un ko main khuli aankhon se ab dekh raha hun
kuchh KHwab meri nind ki zad se nikal aae
bachpan ki haden toD de chal umr ke ham-rah
ab to tere bachche tere qad se nikal aae
raste mein zamane ne bichha rakkhe the kanTe
hum apne iradon ki madad se nikal aae
mat DhunDh mere dost tabassum mere lab par
ab kaise ye aaghosh-e-lahad se nikal aae
'KHalid' mere jazbaat ki shiddat mein kami thi
aansu bhi meri aankhon ki had se nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.