bahe hain ashk na ubhri hain siskiyan meri
bahe haiñ ashk na ubhrī haiñ siskiyāñ merī
havā sunātī phirī hai kahāniyāñ merī
mirī udāsī kā jab bhī unheñ huā ma.alūm
tumhārā pūchhne aa.iiñ saheliyāñ merī
ye ghar ke log chale jā.eñge pahāḌoñ par
tire ḳhayāl meñ guzreñgī chhuTTīyāñ merī
na koī peñg paḌī hai na phuul aa.e haiñ
bahut udaas haiñ kuchh din se Tahniyāñ merī
kisī lakīr pe jhuñjhlā ke rone lagtā hai
bahut satātī haiñ is ko hatheliyāñ merī
havā kā kyā hai uḌā.egī pahle ḳhushbū ko
aur us ke ba.ad bikheregī pattiyāñ merī
phir is ke ba.ad achānak hī ro paḌā vo shaḳhs
'qamar' vo buujh rahā thā paheliyāñ merī
bahe hain ashk na ubhri hain siskiyan meri
hawa sunati phiri hai kahaniyan meri
meri udasi ka jab bhi unhen hua malum
tumhaara puchhne aain saheliyan meri
ye ghar ke log chale jaenge pahaDon par
tere KHayal mein guzrengi chhuTTiyan meri
na koi peng paDi hai na phul aae hain
bahut udas hain kuchh din se Tahniyan meri
kisi lakir pe jhunjhla ke rone lagta hai
bahut satati hain is ko hatheliyan meri
hawa ka kya hai uDaegi pahle KHushbu ko
aur us ke baad bikheregi pattiyan meri
phir is ke baad achanak hi ro paDa wo shaKHs
'qamar' wo bujh raha tha paheliyan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.