bahi-KHwahon ka mansuba mukammal ho gaya hota
bahi-KHwahon ka mansuba mukammal ho gaya hota
Shakeel Ibn-e-Sharaf
MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf
bahī-ḳhvāhoñ kā mansūba mukammal ho gayā hotā
jo maiñ bahrā nahīñ hotā to pāgal ho gayā hotā
bhalā ho dushmanoñ kā jo mujhe sargarm rakhte haiñ
na hote ye to maiñ guzrā huā kal ho gayā hotā
anā ne duur rakkhā dostī ke faiz se us ko
gale mil letā vo baḌh kar to sandal ho gayā hotā
sañbhālā zindagī bhar ai ġhazal tere taqaddus ko
na hote ham to mailā terā āñchal ho gayā hotā
'shakīl' ehsās kī daulat agar mujh ko nahīñ miltī
maiñ apnī zaat meñ kab kā muqaffal ho gayā hotā
bahi-KHwahon ka mansuba mukammal ho gaya hota
jo main bahra nahin hota to pagal ho gaya hota
bhala ho dushmanon ka jo mujhe sargarm rakhte hain
na hote ye to main guzra hua kal ho gaya hota
ana ne dur rakkha dosti ke faiz se us ko
gale mil leta wo baDh kar to sandal ho gaya hota
sanbhaala zindagi bhar ai ghazal tere taqaddus ko
na hote hum to maila tera aanchal ho gaya hota
'shakil' ehsas ki daulat agar mujh ko nahin milti
main apni zat mein kab ka muqaffal ho gaya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.